Shabd he thode teri tarif me Puri
dictionery
bhi pad jayegi kam ho maa mamma...
Teri mamta tera chehra
tera pyar kaise bhulavuga me maa,
Jab jab bhi gira tune mujhko uthna
He sikhaya maa, Jab jab bhi roya
tune hasna sikhaya he maa...
Teri god me jab chain se soya
gam ko tune bhulaya he maa,
Jab jab exam me fail huva tune
padhna sikhaya he ma ho maa,
Jab jab hara khel me to
tune jitna sikhaya he maa,
Life me jab bhi problem aye tune
ladna sikhaya he maa…
Shabd he thode teri tarif me puri
dictionery
bhi pad jayegi kam ho maa mamma...
Jab jab roya me tune mujhko
hasna sikhaya he maa,
Jab jab dhup lagi to saya banke
chhav tune dilayi he maa,
Behke jab bhi kadam mere to
hath thamke chalna tune sikhaya he
maa…
Jab jab bhukha soya me to tune
mujhko jagake khilaya he maa,
Jab jab me tujhse naraz huva to
tune mujhko manaya he maa...
Aaj bhi tere kadmo ki ahat se me
khush
ho jata hu maa, Aaj bhi tere hasne
se
mere dil ko sukun milta he maa,
aaj bhi tere dil se dur nahi me to
tere dil me basaa hu maa…
Tu jo sang he to me ek din
Har haar ko bhi jit me badal dunga
maa...
Shabd he thode teri tarif me puri Dictionery
bhi pad jayegi kam ho maa mamma...
- BY CHIRAG AMRANIYA
No comments:
Post a Comment